Rahat ki saans mile tum mil jao to
Rovo main lag ke gale tum mil jao to
Dab gya hoon main saanso ke bojh tale
Har manzr sine main khanjr sa utarta hai
Zakhmo ki kya kahoo khud dekh ke batana
Jismo-jan main bas dard hi ubharta hai
Rahat ki saans mile..........
Umar kat gyi meri ik naam ke sahare
Zindgi khadi hai vahin behis bejan si
Lakh sar patka mgr ye na-ashna rahi
Jab bhi mili ye mili bas ik mehman si
Rahat ki saans mile.........
raat goonji falak main jane kiski sada
Tare timtimaye na chand hi tha chamka
zard pad gye the chehre biyabano ke
Tu chala gya to bol hamara bhla kya hoga
Rahat ki saans mile...........
No comments:
Post a Comment