Sunday, May 5, 2013

Adhuri Zindgi



Bahen falaye pukarta asman
Magar door bhagti rahi zameen
Betab tha main,
Asman mein samane ko,
Magar;
Darmian aa gye
Mere khwaab, khwahishen aur ummiden!
Vo mujhe ghaseeta kiye,
Aur main,
Uchakta hi raha,
Aasmanon mein kho jane ko.
Sab kuchh adhura hi reh gya!
Khwaab, khwahishen, meri ummiden,
Aur,
Mere aur aasman ke beech ki doori!
Thamti nabz ne kaha;
Agli baar aisa mat karna!!!

No comments:

Post a Comment